Top 45+ Finest Dooriyan Shayari In English I 2 Line Shayaris

Welcome to our new post Dooriyan Shayari in English. We are very fond of each other, and we all remain close to each other but due to some wrong understanding, a gap between relations happens, and if the gap increases thing gets worse than usual.

Due to distance, there are differences of opinion between each other and this is not a good thing in relation. Today in this post we have brought some Dooriya Shayari in English, Dooriyan Shayari in English Attitude, and 2 Line Shayari On Dooriyan for you hope you will like it.

Dooriyan Shayari In English

 

Dooriyan hi nazdeek laati hai
Dooriyan hi ek doosre ki yaad dilaati hai
Door ho kar bhi koi karee bhai kitna
Dooriyan hi is baat ka ehsaas dilaati hai

 

Dooriyan Shayari In English

Na door hamse jaya karo, dil tadap jaata hai,
Aapke khayalo me he din hamara gujar jaata hai,
Puchta hai ye di lek sawal aapse,
Kya door rehkar bhi apko mera khayal aata hai?

 

Mohobbat aisi thi ki unko batayi bhi na gayi
Chot dil par thi isliye dikhayi bhi na gayi
Chahte nahi the unse door hona par
Doori he itni thi ki mitayi bhi na gayi

 

Wo Mera Hai To Wo Mujhse Door Kyun Hai?
Door Rehkar Jeene Ko Hum Majboor Kyun Hain?
Gunaah Hum Dono Ne Kiya Tha Ek Jaisa,
To Mera Kasoor Kyun Hai Aur Wo BeKasoor Kyun Hai?

 

Meri Zindagi Kitni Khubsurat Hoti,
Agar Teri Chahat Adhuri Na Hoti,
Kuch Uljhane Kuch Majbooriyan Hoti Beshak,
Magar Pyar Me Itni Doorie Na Hoti.

 

Paas Rehne Se Bhi Kam Nahi Hota
Faasla Jo Dilon Mein Hota Hai

 

Ye Doori Humse Ab Aur Sahi Nahi Jati,
Bas Tere Pas Aane Ko Mera Jee Chahta Hai,
Tod Kar Sari Duniya Ki Rasmo-Riwajon Ko,
Tujhe Apna Banane Ko Jee Chahta Hai.

 

na jane kab is dil ki mannat puri hogi,
kab mitenge fasle aur door ye doori hogi,
door rehne ki kaun si aisi majburi hogi,
bina uske jindagi yakinan adhuri hogi.

 

Apna hone ka ahsaas tb hota hai
jb log ek dusre se door jaate hai

 

unki galiyo ki hawa har dard ki dava ban gayi,
doori unse meri chahat ki saja ban gayi,
kaise bhulu unhe ek pal ke liye,
unki yaad toh jeene ki vajah ban gayi.

 

dooriyo ki na parvah kijiye,
dil jab bhi pukare bula lijiye,
kahi door nahi hai ham apse,
bas apne palko ko ankhon se mila lijiye.

 

Tumse Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga
Tere Saath Gujara Har Lamha Yaad Aane Laga
Jab Bhi Koshish Ki Tujhe Bhulane Ki
Tu Aur Bhi Iss Dil Ke Kareeb Aane Laga

 

mere dil ko agar tera ahsaas nahi hota,
to door reh kar bhi yu mere pas nahi hota,
is dil me teri chahat aise basa li hai,
ek lamha bhi tujh bin khas nahi hota.

 

Is Kadar Dil Ko Dukhana Acha Nahi Hota,
Har Kisi Se Yu Dil Ko Lagana Acha Nahi Hota,
Kuch Riste Hote Hai Aise Jinme Behtar Hain Dooriya,
Itna Bhi Kisi Ke Karib Jana Acha Nahi Hota.

 

Doori Aisi Ki Mit ti Hi Nahi
Main Tere Paas Bhi Aaun To Kahan Tak Aaun

 

Tujhse Door Rehkar Kuch
Yun Wakt Gujara Maine,
Na Hoth Hile Fir Bhi Tujhe
Pal-Pal Pukara Maine.

 

Tum Kitne Door Ho Mujhse
Mai Kitna Paas Hu Tumse,
Tumhe Pana Bhi Namumkin
Tumhe Khona Bhi Namumkin.

 

jab dil me sacha pyaar hota hai
tb dooriyan hoti he nahi hai

 

dooriyo se fark padta nahi,
baat to dilo ki nazdikiyo se hoti hai,
dosti to kuch ap jaiso se hai,
varna mulakat to jane kitno se hoti hai.

 

Door Rehna Apka Humse Saha Nahi Jata,
Juda Hoke Apse Humse Raha Nahi Jata,
Ab To Vapas Laut Aaiye Hamare Pas,
Haal-E-Dil Ab Kisi Se Kaha Nahi Jata.

 

mujhse door hokar tumhe kya laga
door mujhse nahi
door to apne ap se ho rahe ho

 

Sirf Najdikiyo Se Mohabbat Hua Nahi Karti,
Fasle Jo Dilo Me Ho To Fir Chahat Hua Nahi Karti,
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Humse,
Khamosh Rehne Se Dilon Ki Dooriyan Mita Nahi Karti.

 

voh jo hamare liye kuch khas hote hai,
jinke liye dil me ahsass hote hai,
chahe vaqt kitna bhi door kar de unhe,
door reh ke bhi vo dil ke pas hote hai.

 

Dooriyan Jab Bhi Badhi
To Galatfhamiyan Bhi Badh Gayi
Phir Tumne Vo Bhi Suna
Jo Maine Kaha Hi Nahi

 

Saja na de mujhe bekasoor hu mai,
Tham le mujhko gamo se choor hu mai,
Teri doori ne kar diya hai pagal mujhe,
Aur log kehte hai ki magroor hun mai!

 

Baat Keh Di Jaye Juban Se Jaruri To Nahi,
Zindagi Gujri Hai Aadhi Poori To Nahin,
Samjhenge Wo Nigahon Se Mere Dil Ki Dastan,
Door Baithe Hain Dilon Mein Doorie To Nahin?

 

Kabhi Hum Mile To Bhi Kya Mile
Wahi Dooriyan Wahi Fasle
Na Kabhi Humare Kadam Barhe
Na Kabhi Tumhari Jhijhak Gayi

 

door reh kar karib rehne ki adat hai,
yad ban ke ankho se bahane ki adat hai,
karib na hote hue bhi karib paoge,
mujhe ahsaas bankar rahane ki adat hai.

 

Dooriyan Shayari In English Attitude

 

Is anjan rah me, bhatka raha hoon mai,
magar is doori ko bhi swikar kar raha hoon mai

 

Dooriyan Shayari in English Attitude

Tamam Umar Apni jindagi Se Door Rahe,
Teri Khushi Ke Liye Tujhse Door Rahe,
Ab Iss Se Badkar Wafa Ki Saza Kya Hogi,
Ki Tere Hokar Bhi Tujhse Door Rahe.

 

Jindagi ki is yatra me,
dooriya hai jaruri,
magar ham ise bhi apne
muskan ke sath jee rahe hain.

 

door rehakar bhi hu najdik,
ye mera andaaz hai,
shayad bana hu mai,
apne khwabo ka raaz.

 

Tu dur reh, meri taqdeer
mei hai bahut dum,
Main khud apna rasta banaunga,
mujhe teri zarurat nahi.

 

Dooriyon Se Fark Nahi Padta,
Baat To Dilo Ki Nazdikiyo Ki Hoti Hai,
Dil Ke Rishte To Kismat Se Bante Hain,
Warna Mulakat To Jane Kitno Se Hoti Hai

 

tere bina jiye ja rahe hai ham,
dooriyon me bhi muskara rahe hai ham.

 

Usne mujhse na jane kyun ye doori kar li,
Bichad ke na jaane kyun ye mohobbat adhuri kar di,
Mere mukaddar mein dard aya to kya hua,
Khuda ne uski to khwahish to poori kar di!

 

ab meri jindagi me hai thoda alag andaj,
doori banaye rakhne ka, mera naya swabhav.

 

2 Line Shayari On Dooriyan

 

Na Jane Karib Ana Kise Kehte Hain,
Mujhe To Apse Door Jana Hi Nahi Ata.

 

2 Line Shayari On Dooriyan

Karib Aane Ki unhe Fursat Hi Nahi,
Aur Mujhpar ilzam Laga Hai Doorie Banane Ka.

 

Sabooton Ki Jarurat Pad Rahi Hai,
Yakinan Dooriyan Ab Badh Rahi Hai.

 

Ruthte Hai Sab Ek Dusre Se Meri Jaan,
Dooriya Koi Bhi Dil Jyada Din Seh Nahi Pata.

 

rishto me dooriya kabhi itni mat badha lena,
ke darvaja khula ho phir bhi khat-khatana pade.

 

tere vajud ki khushbu basi hai mere sanso me,
ye aur baat hai ki najar se door rehate ho tum.

 

dooriya bahut hai tujhme aur mujhme par
ye baat bhi hai ke tere jitna koe mere karib nahi hai

 

un logo se dooriya he thik hai
jinhone najdikiyo ki kadr nahi ki

 

falat fehmi se dooriya badh gai hai varna
fitrat ka bura tu bhi nahi aur mai bhi nahi

 

Discover Related Topics
Alone Shayari >
Rishte Shayari >
Breakup Shayari >

 

In conclusion, we can say that distances are part of life, and looking at them from the right perspective can make our lives more meaningful. Every experience related to these distances teaches us and makes us stronger.
These are some Dooriyan Shayari in English. We hope that you all will like these Shayaris. If you like then please do share it with your friends, relatives, and loved ones.

Leave a Comment